Koi Umeed Bar Nahi Aati, (Mirza Ghalib)


Koi-Umeed-Bar

Koi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Soorat Nazar Nahi Aati…
Mout Ka Aik Din Muayyan Hai
Neend Kion Raat Bhar Nahi Aati..?

Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi,
Ab Kisi Baat Pe Nahi Aati…
Janta Hun Sawab-E-Taa’at-O-Zohad,
Par Tabiyat Idhar Nahi Aati…

Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hun,
Warna Kia Baat Kar Nahi Aati…
Kion Na Cheekhon Ke Yaad Karte Hain,
Meri Aawaz Gar Nahii Aatii..

Daagh-E-Dil Gar Nazar Nahi Aata..
Bu Bhi Aye Charah_Gar Nahi Aati…
Hum Wahan Hai Jahan Se Ham Ko Bhi,
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati…

Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki,
Mout Aati Hai Par Nahi Aati…
Ka’bah Kis Munh Se Jao Ge ‘Ghali’
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati…
-------------------------------

0 comments:

Post a Comment